Monday, May 18, 2009

inside story of my life [¡¡]

hiee frnds..now i am going to write what happened in next....


Doctor ne kaha tha ki av I.C.U me dekhkr bata payenge..operation pura success hua ya nahi..then my all family praying ki doctoro ka kiya hua operation puri tarah sahi ho jaye aur mai bhi phr se chalne lagu but frnds bhagwan ne sunni toh jarur lekin sayad mjhe aur bhi exams dene the bhagwan ke,hahaha!you know frnds jab doctor I.C.U aye the mujhse milne..unhone mere right and left leg ke knee me hath se slow se mara toh mere dono leg halka sa movment kiya..doctor ko khusi hue unka operation success hua,unhone meri family walo btaya wo sab bhut khus the..mai bhi because mujhe laga ab mai chal paunga..but frnds kaha tha na maine avi bhagwan ka exams khatam nhi hua hai mere liye..mujhe acha toh nahi lag raha but apko bata I.C.U me meri halat dekhne layak nahi thi..pata nahi mere pure body me kaun kaun se machine lagaya hua tha..aur sare electronic the...!wel,kuch dayz baad mujhe ward me sift kiya gaya..hum waha gaye...jb wahan jakar maine papa ko apne pas bulane ke liye apna right hand uthana chaha but nahi utha paya kyuki dosto operation ke baad mera sara body ka power movment khatam ho chuka tha i have lost my all movment of body,mai ek finger tak nahi hila pata tha..mai bhut roya 1 mahine tak kuch khane kuch bolne ko man nhi karta tha..mai bus apne future ke bare me soch raha tha ab aage mera kya hoga,doctor ne kaha regular physiotherepy se hi ab mai thik ho skta hu,frnds operation se pahle doctor ne kaha tha ager operation mera jaldi nahi hoga..wo bhi danger hota mere life k liye mai duniya ko alwida kah sakta tha aur operation me bhi khatra hai meri jaan ka but success hua toh mai thik ho jaunga bilkul..then maine papa ko kaha agr mere sare raste me jaan ko khatra hai toh mai operation krwane ke liye ready hu aur papa ko meri batein sunkar acha laga but dil se ro bhi rahe the mai janta tha kyuki mere samne wo apne aanshu chipane ki kosis kar rahe the but mai bhi unka beta hu..mai jaan raha tha apne papa ke dil ki baat but kuch kaha nahi maine..bus unko hug kiya maine..!frnds hospital toh mai chal kar hi gaya tha chahe jitne bhi muskil se chal paya but chal kar gaya tha lekin mjhe kya pata tha ab mera sbkuch WHEEL CHAIR hoga...operation ke ek din pahle maine nidhi(nidz)ko phn kiya tha..aur usse baat ki....

To be continue...
Frnds aage abhi aur bhi bhut kuch batana hai..abt my aim,my future nd kuch past ke memorial nd kuch funny movment ke bare me..so plz keep in touch...regular read my blog..aur apna khyal rakhiyega...byeee keep smiling...phr milenge aage ki baaton ko lekar..!!

Sunday, May 17, 2009

inside story of my life

Hello..everybdy..myself priyanshu raj..chota hu mai lekin meri sapno ki udan bhut lambi hai...mai bihar ke ek chote se sundar town forbesganj me rahta hu...maine apni duniya yahi se dekhna start ki hai...mai yahin ke ek bhut hi ache school sri rani saraswati vidya mandir me padha,jahan maine apni educational life start ki...jahan maine duniya ko samjhna chalu kiya..mai apne school me KHO KHO game ka ek acha player tha aur jb tak us school me raha 9th tak...maine district level tak acha khela apne aur apne school ke liye..i have got lof of good friends there in that my school and nidhi is jain one of my vry best friend in my life and still she is.we share our all feelings to each other and which is most important part in gud frndshp....!when i was in 9th class..suddenly i had got some problm in my left leg..and getting problm in walk but i thought it wil be alright its happend sometime...but i was wrong because day by day i was getting lot of problm in walk...and then when my mom asked me that why its happening?wht happend why you walking very troubly then i have told it to my mom everythng...mom told it to my dad and after that mai dad ke sath doctor ke pas gya jo ki wo mere mama ji hai...unhone dekha toh kuch pata nhi chala..mera MRI test hua phir pata chalat mera cirvical spinal jo ki brain ke niche hota hai..wahan pe wo spinal turn tha and uske wajah wahan ka jo main vain tha wo dab raha tha jiske wajah se meri body ki movment..day by day kam ho rahi thi...at siliguri which is stay in west bengal..there's doctor told me that operation jitna jaldi ho bettr hai....dad ready the but dad ne pucha ap kitne % guarantee lete ho priyanshu thik ho jayega..?frnds apko surprize lagega ye sunkar ki doctor ne kya kaha..unhone kaha wo risk nhi lenge because its a very danger case...and i have seen it 1st time in my career...frnds that doctor were belong from china.and then we came back at home but my problm were going on and day by day increasing...then after few dayz we were taking plan for banglore..we were going there but there also we got same answer like siliguri..but we were trying a lot...pura india bhi almost ghum liya..hahaha mujhe lag raha tha mera upar jane ka time aa chuka hai isliye choti si hi umar me itna duniya dekh liya but mai phir delhi gaya..1st toh AIIMS hsptl gya but waha se mujhe reffrd kar diya gaya Indian spinal injuries center(ISIC).JO ki new delhi ke vasantkunj sector c-8 me hai...!mai RML hsptl bhi gya tha..raam manohar lohia hsptl but wahan bhi reffrd kar diya gaya mujhe ISIC hsptl,yahan aane ke baad doctor se tretmnt ke baad..unhone kaha priyanshu wil be alright after operation..wahan mera operation hua..kuch international doctor bhi the mere operation ke liye but main doctor the..dr.chabra!!mera operation two days hua..one dayz gap karke..pahle hua jo ki 8 hour ka tha operation and then aftr one day 14 hour k hua operation..mere family membr bhut hi tension me the mere papa bhut jyada hi the but jb OT se bahar doctor aaye..aur unhone kaha operation abhi half success hua hai..toh they felt better aftr listning that..doctor ne kaha kal I.C.U me unhe dekhkr btayenge operation pura success hua ya nahi....

To be continue....
Ab mai apne next blog me btaunga aage ki baat..tab tak apna khyal rkhiyega..til then keep smiling....